Piyush Mishra’s beautiful and hard-hitting honest words will make you reflect on life. His writing sums up the dilemmas we all face. These powerful words about money, desires, love, and time that is just passing by us, will touch your heart.
-1-
Har insaan bikta hai yahan duniya mein, Kitna mehenga kitna sasta ye uski majbooriyat tay karti hai
-2-
Daayra har baar banaata hoon zindgi ke liye, Lakeere wahin rehti hai…main khisak jaata hoon
-3-
Dard ki baarish mein hum akele hi the, Jab barsi khushiyan na jaane bheed kahan se aa gayi
-4-
Halki phulki si hai zindagi, Bojh to khwahishon ka hai.
-5-
Insaan khud ki nazar mein khush hona chahiye, Duniya to bhagwaan se bhi dukhi hai.
-6-
Aaj maine phir jazbaat bhejhe, Aaj tumne phir alfaaz hi samjhe.
-7-
Abhi abhi kuch gujra hai, Laparwah, dhool mein daudta hua, Zara palat kar dekhoon toh, Bachpan tha shayad!
-8-
Raaton ko chalti rehti hain mobile pe ungliyan, Seene pe kitaab rakh ke soye kaafi arsa ho gya.
-9-
Kursi hai, koi janaza toh nahi. Kuch kar nahi sakte, toh utar kyo nhi jate?
-10-
Zindgi ka falsafa bhi kitna ajeeb hai, Shaamein kat ti nahi, Aur saal guzarte chale ja rahe hain.
-11-
Sochta hoon dhokhe se zeher de dun, Saari khwahishon ko daawat pe bula kar.
-12-
Ik itvaar hi hai jo rishto ko sambhalta hai, Baaki din kishto ko sambhalne mein kharch ho jaate hain.
Also Read: Piyush Mishra’s Beautiful Shayari On Love & Life