From writing about love, life, success, and desires, Ayushmann Khurrana’s shayaris are beautiful in every sense of the word. These will leave your heart full of emotions of love, pain, and happiness.
#1
“Bina soche likh deta hun main, Muft tariff pa leta hun main,
Zyada soch kar agar likhun, To ganit ke sawal jaisa dikhun.”
#2
“Zindagi ne bahut samajhdar bna rakha hai,
Mujhe aaj bas zid karne ka mann hai.”
#3
“Baat baat pe muskurata hai yeh aadmi,
Kisi chote shaher se aaya hua lagta hai.”
#4
“Kitna aasaan tha bachpan mein sulaana hum ko,
Neend aa jaati thi pariyon ki kahaani sun kar.”
#5
“Bachpan mein papa ki lagayi bandishon ko todne mein bahut mazaa aata tha,
Ab badey ho kar khud par lagayi bandishein todi nahi jaati.”
#6
“Ajeeb lutaf tha nadaaniyon ke aalam mein,
Samajh mein aayi toh baaton ka woh maza bhi gaya.”
#7
“Raat bhar chalti raheti hai ungliyan mobile par,
Kitaab seene par rakh kar soye huye ek zamaana ho gaya.”
#8
“Kuch nahi milta, duniya mein mehnat ke begair
Mera apna saaya mujhe dhoop mein aane ke baad mila.”
#9
“Manzilein paanv pakadti hain thehrne ke liye,
Shauk kehta hai ki do-chaar kadam aur sahi.”
#10
“Kitna jaanta hoga woh shaks mere baare mein,
Mere muskuraane pe jisne pooch liya tum udaas kyun ho.”
#11
Main gaya tha soch ke, baatein bachpan ki hongi,
Dost mujhe apni tarakki sunaane lage.
#12
“Yeh toh parindo ki maasoomiyat hai varna,
Doosre ke gharon mein ab aata-jata kaun hai”
#13
“Safalta ki unchai par ho toh dheeraj rakhna,
Pakshi bhi jaante hain ki Aakash mein baithne ki Jagah nahin hoti”
#14
“Meri khwahish sirf main hoon,
Isliye sab mein khud ko hi talaashta hoon”
#15
“Zamaane mein tanhaaiyon ke aalam toh dekhiye,
Hum khud ko taakte hain, le le ke selfiyaan.”
Image(s): Source