Anamika Joshi’s poems always touch our hearts. She beautifully captures the nuisance of every relationship that leaves many emotional. Be it the relationship of husband-wife in ‘Akhir Tum Hote Kaun Ho‘ or mother-children relationship in ‘Maa Aap Hi Galat Ho Sakti Ho‘, Anamika Joshi always touches our heart and soul.
Last year on father’s day, Anamika Joshi beautifully captured a relationship that we share with our fathers. Capturing the selfless love that our fathers hold for us, Anamika mentioned how fathers forget their own selves in giving his kids a better life.

In this simple yet heart-touching poem – “Bas Aap Ek Baar Ke Liye Papa Banna Chodh Do“, Anamika focuses on the countless sacrifices that a father makes every day to bring smiles on the faces of his kids. We hope you will enjoy this poem as much as we did.
Here’s the heart-touching poem:
ALSO WATCH: Divya Dutta’s Poem ‘Tumne Kaha Tha Hum Ek Hi Hain, To Apne Barabar Kar Do Na’ Is What Women Want
ALSO WATCH: Ayushmann Khurrana’s Emotional Poem – Gentleman Kisse Kehtey Hain?
Here are the complete lyrics:
Suno Papa, Main Kissi Se Kuch Nahin Kahungi, Bas Aap Ek Baar Ke Liye Papa Banna Chodh Do,
Woh Paison Ki Tangi Batado Humein, Woh Cycle Nahin Dila Saktey Samjha Do Humein,
Aise Ghar Late Mat Aaya Karo, Office Mein Char Ghantey Extra Mat Bitaya Karo,
Yeh 2-2 Duniya Kaise Sambhaal Lete Ho, Andar Kuch, Bahar Kuch Kaise Ban Pate Ho
Suno Papa, Main Kissi Se Kuch Nahin Kahungi, Bas Aap Ek Baar Ke Liye Papa Banna Chodh Do!
My Papa Strongest Ke Bojh Taley Muskurana Band Karo,
Kyun Nahin Keh Dete Bas Ab Nahin Hoga Dekhlo Sab Apna, Nahin Hoga Ab Pura Kissi Ka Saapna,
Bas Jhoonjhte Se Reh Jaate Ho, Aur Jhunjhulate Huye Na Jaane Humse Kya Kya Chupa Jaate Ho,
Aur Bewajah Serious Hone Ka Title Le Jaate Ho,
Suno Papa, Main Kissi Se Kuch Nahin Kahungi, Bas Aap Ek Baar Ke Liye Papa Banna Chodh Do!
Joke Bhi Sunate Ho, Shopping Bhi Karate Ho, Ghumane Bhi Le Jaate Ho,
Ghar Ko Ghar Banake Rakhne Mein, Aapna Din Raat Bhul Jaate Ho
Achi Padai, Acha Ghar, Acha Khana, Achi Life, In Sabke Beech Aapna Bura Se Bura Waqt Bhi Humse Chupate Ho,
Aur Jab Mann Ubal Khane Lagta Hai Ciggarete Ke Dhuyein Mein Gum Se Ho Jaate Ho
Suno Papa, Main Kissi Se Kuch Nahin Kahungi, Bas Aap Ek Baar Ke Liye Papa Banna Chodh Do!
Arey Kuch Saal Pehle Ki Hi Toh Baat Hai, Jab Aap Papa Nahin The, To Kaise Doston Ke Saath Waqt Bitate The,
Boss Se Bahana Banakar, Leh Ladakh Ghoomne Jaate The,
Ab Ghoomne Nahin Jaane Ka Bahana Banate Ho, Ghar Mein Hi Sukoon Milta Hai Kehkar Aapni Khushi Taal Jaatey Ho,
Hum Sabko Saath Leke Chalne Mein Shayad Kabhi Kabhi Akele Se Padh Jaate Ho,
Apni Ek Khushi Ko Taal Kar, Humare Das Nakrey Uthatey Ho,
Suno Papa, Main Kissi Se Kuch Nahin Kahungi, Bas Aap Ek Baar Ke Liye Papa Banna Chodh Do!
Main Janti Hoon Aap Nahin Chodogey, Hasogey, Gaal Pe Thapki Doge Aur Bologey – “Arey Pagal”
Aur Main Bhi Bas Gale Lag Jaungi Kas Kar, Zyada Kuch Nahin Kar Paungi, Zyada Kuch Nahin Keh Paungi,
Bas Chup Si Ho Jaungi, Jaise Aap Ho Jaatey Ho,
Happy Father’s Day Papa, Na Jaane Aap Yeh Sab Kaise Kar Paatey Ho!