Monika Singh’s heart-touching poem ‘Aurat Hoon Main Koi Samaan Nahin’ is a powerful take on women’s empowerment. It is a must-watch for those who believe women have been suppressed for a long time and it’s high time that they are given rights to live life on their own terms.
Since time immemorial, women have succumbed to social pressure to live life as per social terms. As many parents are raising strong daughters, these women refuse to be controlled by society. They don’t want to live as per the terms dictated by society anymore.
Monika Singh captures the very same desire. In her poem, Aurat Hoon Main Koi Samaan Nahin, she quotes instances from Ramayana to Mahabharata to our daily routines to expose the irony of our society. How on one hand we preach to worship our women, and on the other, we make them victims of harassment, abuse, and much more.
Here’s the beautiful poem:
Here are the lyrics of this beautiful poem.
Aurat Hoon Main Koi Samaan Nahin
Sukh Mein Sabke Sang Hoti Hoon, Dukh Mein Akeli Reh Jaati Hoon,
Duniya Ki Nazron Mein Main Kudrat Ka Karishma Kehlati Hoon,
Parichay Kissi Ka Mohtaz Nahin, Khud Apni Zubani Kehti Hoon,
Ramayan, Mahabharat Se Granthon Mein, Main Abla Naari Banke Rehti Hoon!
Main Who Bhiksha Hoon Pandavon Ki Jo Aapas Mein Baantli Jaati Hoon,
Pursh Pradhan Is Duniya Mein Phir Jo Juaye Mein Hari Jaati Hoon,
Main Woh Sita Hoon Ram Ki Jo Ravan Van Mein Churali Jaati Hoon,
Main Woh Agni Pariksha Hoon, Jo Maati Mein Samaa Li Jaati Hoon,
Aur Aane Waale Yugon Ke Liye, Ik Itihas Banadi Jaati Hoon!
Par Kaun Hoon Main, Kyun Aisi Hoon? Khud Se Yeh Prashn Doharati Hoon
Main Woh Aag Hoon Seene Ki Jo Chulon Mein Jhoki Jaati Hoon
Aankhon Mein Udne Ka Khwab Liye Pinjre Mein Daali Jaati Hoon
Uthna Chahoon Mein Phir Se Toh Pairon Se Raundi Jaati Hoon
Lakh Pratibha Ho Mujhmein, Par Har Kadam Pe Roki Jaati Hoon!
Main Woh Kali Hoon Upwan Ki Joh Khiltey Hi Todh Li Jaati Hoon,
Kabhi Mastak Par, Kabhi Charnon Mein, Bas Yuhin Chadadi Jaati Hoon!
Khudse Hi Janami Duniya Mein Main Khud Ko Hi Asurakshit Paati Hoon,
Main Who Khamoshi Hoon Aangan Ki Jo Raaton Ko Chilaati Hoon,
Havas Bhari Is Duniya Mein, Har Roz Mein Bheji Jaati Hoon,
Phir Laxmi Ka Woh Roop Bhi Main Hoon Jo Ghar Ghar Pooji Jaati Hoon
Par Kaun Hoon Main, Kyun Aisi Hoon? Khud Se Yeh Prashan Doharati Hoon
Ki Kyun Aaghaaz Nahin Main, Kyun Awaaz Nahin Main, Kyun Sirf Main Ek Zariya Hoon,
Aate Jaate Chand Logon Ka Kyun Main Ik Nazariya Hoon,
Kyun Shor Bhari Is Duniya Mein Mann Mein Simti Khamoshi Hoon
Apne In Haalaaton Ki Shayad Main Khud Bhi Doshi Hoon,
Lekin Kya Ek Baat Kahun Mein, Ae Duniya, Main Bhi Tere Hi Jaisi Hoon
Main Bechaini Hoon Us Mann Ki Jo Chaen Se Jeena Chahti Hoon,
Main Khwab Hoon Khud Ki Aankhon Ka, Jo Poora Hona Chahti Hoon
Thakk Chuki Hoon In Roopon Se Ab, Khud Ko Paana Chahti Hoon,
Aurat Hoon Main Koi Samaan Nahin, Aur Aurat Banke Jeena Chahti Hoon
Khud Se Pooche Prashno Ka, Ek Maatra Hi Uttar Paati Hoon
Aapne Saare Khwabon Ke Sang, Nabh Mein Uddh Jaana Chahti Hoon!
Â
Â
Â
Â
Â
Â
Ladki Ho Tum Thoda Lihaz Karo
Log Kya Kahengey, Aasoon Pocho Chehra Saaf Karo!
Agle Ghar Jaan Hai Tumhein,Thoda Toh Bardast Karo!
Par Ladki Ko Har Waqt Saaman Ki Tarah Se Aakne Walo
Tum Bhi Toh Thodi Laaj Karo!
Kya Who Aurat Hai Toh Ussey Jeena Ka Adhikar Nahin,
Kyun Uska Yun Bebaad Hona Zaamane Tujhey Swikar Nahin,
Â
Mahabharat Mein Jo Draupadi Ka Cheer Haran Hua Tha
Kya Usko Rokna Sach Much Mein Asambhav Tha
Â
Kya Draupdi Koi Vastu Thi, Jo Pehle Pandavon Mein Baant Di Gayi
Fir Jhuye Mein Har Di Gayi
Â
Â
Aurat Hoon Main Koi Samaan Nahin
Â
Sukh mein sabke sang hoti hoon,
Dukh mein akeli reh jaati hoon,
Duniya Ki Nazron Mein Main Kudrat Ka Karishma Kehlati Hoon
Parichay Kissi Ka Mohtaz Nahin
Khud Apni Zubani Kehti Hoon,
Ramayan, Mahabharat Se Granthon Mein
Main Abla Naari Banke Rehti Hoon
Â
Main Who Bhiksha Hoon Pandavon Ki Jo Aapas Mein Baantli Jaati Hoon,
Pursha Pradhan Is Duniya Mein Phir Jo Juye Mein Hari Jaati Hoon,
Main Woh Sita Hoon Ram Ki Jo Ravan van mein churali jaati hoon,
Main Who Agni Pariksha Hoon, Jo Maati Mein Sama Li Jaati Hoon
Â
Aur aane waale yugon ke liye ik itihas banadi Jaati Hoon
Â
Par Kaun Hoon Main, Kyun Aisi Hoon? Khud Se Yeh Prashan Doharati Hoon
Main Who Aaag Hoon Seene Ki Jo Chulon Mein Jhoki Jaati Hoon
Aankhon Mein Udne Ka Khwab Liye Pinjre Mein Daali Jaati Hoon
Uthna Jahoon Mein Phir Se Toh Pairon Se Raundi Jaati Hoon
Lakh Pratibha Ho Mujhmein, Par Har Kadam Pe Roki Jaati Hoon
Â
Main Woh Kali Hoon Upwaan Ki Joh Khiltey Hi Todh Li Jaati Hoon,
Kabhi Mastak Par, Kabhi Charnon Mein, Bas Yuhin Chadadi Jaati Hoon!
Â
Khudse Hi Janami Duniya Mein Main Khud Ko Hi Asurakshit Paati Hoon,
Main Who Khamoshi Hoon Aangan Ki Jo Raaton Ko Chilati Hoon,
Â
Havas Bhadi Is Duniya Mein, Har Roz Main Bheji Jaati Hoon,
Phir Laxmi Ka Woh Roop Bhi Main Hoon Jo Gharr Ghar Pooji Jaati Hoon
Par Kaun Hoon Main, Kyun Aisi Hoon? Khud Se Yeh Prashan Doharati Hoon
Â
Ki Kyun Aaghaz Nahin Main, Kyun Awaaz Nahin Main,
Kyun Sirf Main Ek Zariya Hoon
Â
Aate Jaate Chand Logon Ka Kyun Main Ik Nazariya Hoon,
Kyun Shor Bhadi Is Duniya Mein Mann Mein Simbti Khamoshi Hoon
Â
Apne In Halaaton Ki Shayad Main Khud Bhi Doshi Hoon,
Lekin Kya Ek Baat Kahun Main, Ae Duniya
Par Ik Baat Kahun Main Ae Duniya, Main Bhi Tere Hi Jaisi Hoon
Â
Main Bechaini Hoon Us Mann Ki Jo Chaen Se Jeena Chahti Hoon,
Main Khwab Hoon Khud Ki Aankhon Ka, Jo Poora Hona Chahti Hoon
Â
Thak Chuki Hoon In Roopon Se Ab, Khud Ko Paana Chahti Hoon,
Aurat Hoon Main Koi Samaan Nahin, Aur Aurat Banke Jeena Chahti Hoonm
Khud Se Pooche Prashno Ka, Ek Maatra Hi Uttar Paati Hoon
Aapne Saare Khwabon Ke Saang Nabh Mein Uddh Jaana Chahti Hoon!
Â
Â
Â
Â