In a society, that preaches Boys don’t cry? or Mard Ko Dard Nahin Hota – Ayushmann Khurana’s new poem – “Decode The Modern Gentleman” explores how our society’s gender stereotypes about men also need to change to build an equal and respectable society.
While exploring various unrealistic expectation that society holds from man, Ayushmann shares his heart-touching poem in this video:
At IFORHER, we believe that it is high time that our society frees its men and women of gender-based regressive stereotypes and let them be the way they want to be.
Here are the lyrics of the poem:
Gentleman kise kehte hai?
You know,
Mard ka ek stereotype hai,
Badi macho waali hype hai.
Wo ghar chalayega, ,
Wo ladki ko bachayega ,
Wo royega nahi, weak nahi hoga,
Mujhe laga ye toh kuch theek nahi hoga.
Mujhe na hero, na saviour,
Na superman banna tha,
Jo ro sake, jo gaa sake,
Kisi ko bacha paaye to bacha sake,
Aisa man banna tha.
Main Hindi mein senti hota hoon,
Punjabi mein gaata hoon, Aisa man.
Tie baandhana mujhe nahi aata,
Par khanaa theek thak banata hoon, Aisa man.
Tumahaari English slow hai ya fast hai,
Mujhe farq nahi padta.
Tum gay ho, straight ho, tumhari kya cast hai,
Mujhe faraq nahi padta.
I know that the ads have told you to play too cool,
and Father asked you to be disciplined as if you are always in school.
Unhone bola ”Gentleman bano” but yeh bhi bola ki man
ka gentle hona kharaab hai”.
Kyunki tumhe to honour bachaana hai,
Jaadu waala perfume lagana hai,
Ussi se ladkiyan tumpe marengi,
Par marengi kyun?
Unhe marna nahi chahiye,
Main jahan hoon, jahan khada hoon,
unhe darna nahi chahiye.
Pink aur Pink Floyd ke beech mein,
wo kuchh bhi-pasand kar sakta hai,
Andhera zyaada ho, to wo bhi dar sakta hai.
Kyunki violence uske saath bhi hua hai,
Patriarchy ne usko bhi galat tareeke se chhua hai.
Wo jaldi bada hone ke bojh ke neeche bada hota hai,
Dil uska bhi 300 gram ka hi hota hai.
Par uspe lohe ka social cover chadha hota hai.
Usey bas car aur gun ke khilaunon mein mat baandho,
Jab wo bachha ho, Zaroori nahi ki driver achcha ho.
Ho sakta hai ki machinon ke kaam mein thoda kachcha ho,
Par mard hone ki iklauti shart yahi hai ki sachcha ho.
Ab zaroori nahi ki mera passion guitar ho, cool ho,
Mere haath mein ladki ke liye phool ho.
Ho sakta hai ki mere paas lambi gaadi ho,
Ho sakta hai ki life ki har ek ride pool ho.
Thoda pata hai, bachchon ko main bhi sambhaalta hoon,
wo thak ke aati hai, to ginger waali chai bhi ubaalta hoon,
Ladka aur ladki mein faraq bahut hain,
Aur yeh farq khoobsurat hain, yeh main janta hoon.
Par farq karne ko sabse badha gunaah maanta hoon.
Shayad isiliye, isiliye apne bete se kehta hoon,
Ki zaroori nahi unke liye kursi kheenchna,Ya gaadi ka darwaaza kholna,
Par jab kuchh galat ho, to sabse pehle BOLNA.
Kyonki six pack se nahi bante hain mard, Na jayada kamaane se bante hai,
Na chillane se, Na aansu chhupaane se bante hain.
Kisi aur ko thand lagti hai to dil uska bhi sard hota hai .
Ki jis ko dard hota hai, asal mein, wohi mard hota hai.
Tu chahe carpet pe soye, chahe red carpet pe chale,
Let me tell you, you are the most powerful, as long as
there lives a Gentleman in you