Jagjit Singh has touched millions of souls with his powerful yet kind words.
His words have comforted many restless minds and healed thousands of painful wounds. His simple words are so powerful that they make you rethink love, life, heartbreak, sadness, death and loneliness.
These 14 powerful Jagjit Singh Quotes will touch your soul and will take you in a beautiful space.
#1
Tumko dekha toh yeh khayaal aaya, Zindgi dhoop tum ghana saaya.
Aaj fir dil ne tamanna ki, Aaj fir dil ko hamne samjhaya.
#2
Hoshwalon ko khabar kya, Bekhudi kya cheez hai.
Ishq kije phir samajhiye, Zindagi kya cheez hai.
#3
Ye daulat bhi le lo, Ye shohrat bhi le lo, Bhale cheen lo mujhse meri jawaani,
Magar mujh ko lauta do, Wo bachchpan ka sawan, Wo kaagaz ki kashti, Wo barish ka paani.
#4
Chithhi na koi sandesh, Jaane who kaun sa desh, Jaha tum chale gaye.
Ek aah bhari hogi, Humne na suni hogi, Jaate jaate tumne awaaz toh di hogi.
#5
Tum itna jo muskura rahe ho, Kya gham hai jisko chhupa rahe ho,
Aankhon mein nami, Hansi labon par, Kya haal hai, Kya dikha rahe ho.
#6
Jhuki jhuki si nazar, Bekaraar hai ke naheen,
Dabaa dabaa saa sahee, Dil mein pyaar hai ke naheen.
#7
Koyi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise, Tune aankhon se koi baat kahi ho jaise,
Jaagte jaagte ek umra kati ho jaise, Jaan baaki hai magar saas ruki ho jaise.
#8
Pyar ka pehla khat likhne mein waqt toh lagta hai,
Naye parindo ko udne mein waqt toh lagta hai,
Jism ki baat nahi thi unke, dil tak jaana tha,
Lambi doori tay karne mein waqt toh lagta hai.
#9
Kabhi khamosh baithoge,
Kabhi kuchh gungunaogi,
Main utna yaad aaunga,
Mujhe jitna bhulaogi.
#10
Ik pyar ka nagma hai, Maujon ki ravani hai,
Zindagi aur kuch bhi nahii, Teri meri kahani hai.
#11
Hazaaron khwahishein aisi, Ke har khwahish pe dam nikle,
Bahut niklay mere armaan, Lekin phir bhi kam nikle.
#12
Thukraao ab ke pyaar karo, Main nashe mein hoon,
Jo chaaho mere yaar karo, Main nashe me hoon.
#13
Koi ye kaise bataaye ki, Woh tanha kyon hai,
Woh jo apna tha wahi, Aur kisi ka kyon hai,
Yahi duniya hai toh fir, Aisi ye duniyaa kyon hai,
Yahi hota hai toh aakhir, Yahi hota kyon hai?
#14
Pyar mujhse jo kiyaa tumne toh kya paaogi,
Mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi,
Ranj aur dard ki basti ka main baashinda hoon,
Yeh toh bas main hoon ke is haal mein bhi zinda hoon.
Isn’t it the most beautiful thing you read today?