Sometimes, we lose the courage to fight for our dreams. We let the fear of failure cover our desire to turn our dreams into reality. If you are going through one of those tough moments, then this inspiring poem by Hrithik Roshan will fill your spirit with strength and eyes with hope.
Darr Se Mat Dar Kuchh Alag Kar
Darr se mat darr
Darr se mat darr,
Darr se mat dar kuchh alag kar,
Cheh ungliyon wala kabhi kalakar nahi ban payega ,
Darr tujhe yeh samjhayega,
Tu aatmvishvas dikhayega, Tu darr se aankh milayega,
Dar se mat dar kuchh alag kar,
Dar ka samanaa kar, aage badh, kuchh alag kar,
Zindgi ke har mod pe tujhe dard satayega,
Usi dard ka fayeda bina chuke yeh dar uthayega,
Aur tujhse kahega ki tu aage kuch nahi kar payega,
Par kya woh likh kar de payega ki tu haar jayega,
Teri har kamjori par yeh darr ghar banayega,
Par tu apna hunar dikhayega,
Usi kamjori ko tuh apni taqat banayega,
Aur us din yeh dar tujh se dar jayega.
Darr ka khel nidarr..huu.. ho ke khel,
Darr se mat dar mat dar … dar se mat dar ,
Aage bud, bhula de dar , kuch alag kar!