While many of us admire the effort our moms put in raising us, some of us dislike the fact that she focused so much on us that she forgot her own dreams and desire.
This beautiful poem captures the similar emotion of a new era mom, who realizes how similar she is to her mom, till she gives up her desire to compromise on her dreams.
‘Maa Tum Sabr Bohot Karti Ho’ has been written by Taranjit Kaur and has was performed beautifully on ‘Spill Poetry’ platform.
Here is the beautiful narration.
Maa jab main chotti si thi,
To sab kahtey ki main tum jaisi dikhti hun.
Tumhare office jaane pe trunk se tumahari nili sari nikaal ke,
Khud ko aainey mein niharti rahti aur sochti
Haan mae tum jaisi hi dikhti hun
Tum roz subah uthke 5:00 baje
Ghar ke sab kaam niptati
Phir office jaane se pehle hamaara khaana bna
Aur bhag bhag ke humein jagaati
Mae sochti maa itna kyon chilaati hai?
Itna kya kaam hae subhey subhey jo bhaag bhaagkar niptaati hai
Aaj samajh aaya hai toh sochti hun
Kaash us waqt main tumhaara haath btaa paati
Sab kehte mera aur tumhara swabhav ek hai
Aur papa aur didi ka, dono badbole hain
Aur dono ka tever hai
Ladte bhi hain, jhagdte bhi
Tum chupchap dekh kar muskraati ho
Khud hi suljha lenge aaram se baith jaati
Kitna bhi tanaav ho ghar mein
Tum shanth dariya si behti rehti ho
Maa tum sabra bahut karti ho
Ek din tumhari sari ke trunk mein kutch dhoond rahi thi main
Toh tumhari sari ke neechey ek medal aur ek trophy mili
Jb maine poochha yeh sab kiske hain ?
To naani boli ki tum gajab ki athlete thi
Ye joh trunk bhare hain na sari ke
Un sab main medals aur trophies the
Jab poocha maine sab kahan gaye?
To tumne kha sab faenk diye
Ghar main jagah nahi thi rakhne ki
To kya karte hain sab baech diye
Kyon tumne zidh nahi ki rakhne ki?
Kyon aise hi sab jaane diya?
Maa itni kyon sunti ho sabki
Kyon itna sabr karti ho
Papa ke yahan kalaa kaa khajaana tha
Koi lekhak koi shayar, to koi chitrakaar tha
Jb main aur didi naatak karne lage
Aur raat raat ko ghar aate
Tum pareshaan bhi hoti per hamaare aane tak na so paati
Sab kehte kya karti hain ye ladkiya jo itni raat ko aati hain?
Tab tum fakr se kehti ye naatak karti hain, ye kalakaar hain
Ye aasaan nahi tha,tumahaara ye samajh paana
Par tum kaise har baar dhal ban ke hamein bachati
Koi kuch bhi keh de tum shaanth rehkar hi samjhaati ho
Maa tum sabr bahut karti ho
Raat ko thak ke tum har baar sofe pe laet jaati
Kahati mujhe yahan neend aachhi aati hae
Main tumhe dekhke hansti ki maa bhi naa…
Aaj jab main har baar sofe pe sikud jaati hun
To shaayad samajhi hun ki tum vahan kyon sauti thi
Kuchh to hae jo mai tum jaise hun
Tum bhi sabr bahut karti thi
Maen bhi bahut sabr karti hun
Dekho na maa itihaas khud ko dohraata hai
Main bhi naaatak chod ke ghar chalaane lagi
Sab kitaabe aur script rakh di aalmaari main
Bas subah shaam khaana banaane lagi
Socha sapne to mere hi hain inkaa kya hai phir ji lungi
Pehle sabko khush kar lun
Mera kya main phir hans lungi
Yeh ahsaas nhi tha
Ki dab rahe the sapne
Aagar uthti nhi to mar hi jaate
Aab uthi hun to thoda to jine do
Bahut chup rahi hun….thoda to kahene do
Maa tum meri prerna ho!
Main tum jaisi hun
Par ab aur tumsa nahi banana
Mujhe bolne do maa
Ab sabra nahi karna
For more such beautiful poems, go to our Poems and Quotes page.