Mom’s love is like no one else. She’s like a shadow that stays with you forever. Even in the darkest phases of your life when everyone leaves you and walks away.
It is difficult for many to understand how moms make kids their life priority. It is only after embarking on a journey of motherhood, we realize how from a carefree woman, we have also turned into caring, loving, and selfless beings like our moms.
One such daughter took to social media to express this transformation in a very beautiful poetic way. Niharika Mishra’s every word will touch your heart and make you wonder how big a journey we have made as a mother!
Here’s Niharika Mishra’s beautiful poem – Meri Maa Ki Beti Maa Hogayi!
Here are the complete lyrics:
Ek chote se sher se,
Ek chote se sher se,
Jane kaise poori gazal ho gayi,
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi!
Pitaji kaha karte the ki beti hamaari ko
Khanna banana nahi aata ,
Aur use shounk bhi nahi hai,
Jise daalo mei fark bhi nahi pata tha,
Pata nahi kaise hands on chef ho gayi,
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi!
Yaad hai shaadi ke baad kha tha usne
Ki maa naya shehar ,naye log ,naya office ,naya ghar ,
Is bheed bhad mei bada akela sa lagta hai,
Aaj who ladki khud ke saath ekaant mei do pal paane ke liye,
Raat ko teen baje uthke chai peene lag gayi.
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi…
Khaa thaa tumne,
Khaa thaa tumne, bada puraana sapna hota hai bachho ki shadi ka ,
Aur muskaraa di thi who,
Aaj apne 6 din ke bachhe ko hospital se ghar laate waqt,
Achaanak muh se uski shaadi ki baat nikal gayi,
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi…
Matching shoes nahi hain ,earring ajeeb hain ,ye dekho kaisi fitting hai,
Matching shoes nahi hain,earring ajeeb hain ,ye dekho kaisi fitting hai,
Kitna tumhaari naak mei dum kar diya karti thi,
Woh aaj koi bhi salwar ,kaisa bhi kurta aur bemale duppata pahnte pahnte
bazaar nikal gayi, ,
Woh aaj koi bhi salwar ,kaisa bhi kurta aur bemale duppata pahnte pahnte
bazaar nikal gayi,
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi….
Jiske khaane ke nakhre aasmaan choote the,
Maa kaisa beswad khaana banaati ho ,gobhi ki sabji,suji ka halwa sab ek
jaisa lagta hai,
Woh aaj bachhe ko khaana khilaane ke liye pichhe bhagte bhagte ,pataa
hi nahi chala kaise aaj tinde ki sabji nigal gayi.
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi….
Raat ko uthkar chilaati thi ,
Raat ko uthkar chilaati thi ,
Maa paair dabaao dard bahut hai ,
Maa paair dabaao dard bahut hai ,
Pankha kardo light nahi hai ,
Pankha kardo light nahi hai,
Aaj iss badmaash ke paair dabaate dabaate pataa hi nahi chala kab
subheh ho gayi.
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi …
Har roz bak bak kar ke tumehe sab kuchh toh bataa deti thi,
Yaad hai jab pehli baar flight li thi to take off se landing tak ka video
banaaya tha ,
Maa tumehe taqleef naa ho iss liye apni hasi ke pichhe chhote chhote dard
chhupaana sikh gayi,
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi…
Kha tha tumne apnaa khyaal pehle rakhna,
Par patta hi nahi chalaa kab ghar bahar ki fikr pehle aur apni chinta aakihri
ho gayi,
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi…
Ek chote se sher se,
Jane kaise poori gazal ho gayi.
Aaj meri maa ki beti maa ho gayi…