In a society, where the one-night stand is seen as a sign of shame and disgust, Piyush Mishra’s beautiful poem – One Night Stand – explores the unheard beautiful emotions of pleasure and restlessness hidden in the one night stand.
Here are some excerpts from his poem exploring the disquiet of a human mind and the struggle to connect with the creator through a ‘one night stand.’
Khatm
ho chuki hai jaan
raat ye qaraar ki
Woh dekh roshni ne
iltija ye baar baar ki
Jo raat thi toh baat thi
jo raat hi chali gai
Toh baat bhi woh
raat hi ke saath
hi chali gai
Yaad hai toh bas mujhe
woh honth ki chubhan teri
Yaad hai toh bas mujhe
woh saans ki chhuan teri
Woh siskiyon ke daur ki
Mehek ye bachi hui
Who aur aur aur ki
dehek ye bachi hui
Toh chahta tha main nahi
na chahta hoon aaj bhi
Qaraar ek raat ka
nibhata hoon aaj bhi
You can listen to this beautiful poem here.