Priya Malik’s heart-touching poem ‘Jaise Tum Pyaar Karte Ho‘ beautifully captures the complexity of love. It shows how everyone has their own way of expressing love and we shouldn’t force or judge our partner when they express their love in a way different.
As there is no single definition of love, in the same way, there is no single way to express love. Some express it through grand gestures, some through small everyday acts; Some may express it through words; some through actions!
But many times, we tend to forget that love comes in different shades. We are so blinded by our expectations of how our partner should express love, that we tend to forget to value the love that they have for us. Priya Malik through her poem wants us to be open to our partner’s expression of love and remember that everyone doesn’t express love in the same way!
Here’s her beautiful poem:
-1-
Chahat zaroori hai, Mohabbat zaroori hai, Ibaadat zaroori hai, Zaroorat zaroori hai,
Lekin..Zaroori nahin ke tumhaare har message ka turant jawaab aaye
Zaroori nahin ke tumhe video call par dekhne ke liye woh 4G connection lagwaaye
Zaroori nahin ki tumhaari har photo par uska like aur comment bhi aaye
Zaroori nahin ke good morning ke message ke baad goodnight ka message bhi aaye
Kyun ke zaroori nahin ke jaise tum pyaar karte ho, tumhara premi theek waise hi tumpa pyaar jataaye!
-2-
Zaroori nahin saagar hamesha nadi ke intezaar mein ho, Zaroori nahi ki parwaana hamesha lau ke pyyaar mein ho
Shaayad Saagar jaanta ho ke nadi uss main hee samaayegi, Shaayad parwana samajhta ho key eh lau hai, bujh hee jayegi
Jisse milna hee hai uske intezar main raatein kyun bitaayein, Jisse bujhna hee hai usko baar baar kyun jalaaye
Pyaar aur ishq ka farq samajhne main kahi mohabbat na bhool jaye
Toh yaad rakhiye ke zaroori nahin jaise tum pyaar karte ho, tumhara premi theek waise hi pyaar jataaye,
-3-
Lekin farz karo, ki woh voice call karray sirf tumhaari saanson ki awaaz sunnay ke liye
Farz karo ki woh video call karein sirf tumhare maathe ki shikhan hataane ke liye
Farz karo ki uske phone screen par jab jab tumhaara naam aata ho,
Wo sajde main jhukkar tumhaara hone ka shukr manaaye
Farz karo..ki tumhare har lafz ko wo apne zehen main bithaaye,
Farz karo…tumhe dekh kar ussay gulzar ki koi nazm yaad aaye
Farz karo..wo nazm ko tumhein 116 chaand ki raatein sunayein
Farz karo.. ke amrita ki tarah wo bhi tumse phir milne ki aas lagaaye
Aur tum main wo sirf sahi k ashthayi nahi, imroz ka thehraav bhi paaye
Farz karo, socho, yeh saapne bhi dekho … aur umeed bhi karo…
Lekin yeh baat samjho ke zaroori nahin jaise tum pyaar karte ho, tumhara premi theek waise hi pyaar jataaye,
-4-
Apne premi ko apni khud ki nazm bhi likhne do,
Usko apni kahaani apni zubaani bhi vyakt karne do
Pyaar ki bhaasha ko kabhi poori tarah jaanna nahin padhta
Aur jisse prem milna chahiye use kabhi maanga nahin padta,
Zaroori bas itna hai, ki jisse tum pyaar karte ho wo apni tareeke se , apni tarah se
Lekin poori chaah se pyaar toh jataaye,
Aur sirf ek zaroorat nahin ,chaahat ban jaaye, mohabbat ban jaaye, ibaadat ban jaaye,