Image: Pixabay
It takes a brave heart to send your husband, son, father to the battlefield knowing that he might not come back ever.
While many of us can’t even gather the courage to say goodbye to our fathers in our dreams, the young daughters and sons of our jawans tell us what true courage looks like.
If you can’t feel their pain, then this heart-touching poem will give you a glimpse of how it feels to be the children of our brave soldiers!
 Shaheed Ki Beti
Papa! Tum Jhoothey Ho,
Is Baar Bhi Nahin Aaye!
Janamdin Tha Kal Mera,
Uphaar Bhi Nahin Laye!
Bahut Gussa Hoon Main Tumsey, Jo T.V. Par Aatey Ho,
Yeh Batao Mujhko Tum, Milne Kyun Nahin Aatey Ho?
Na Jaane Kal Se Hi Kyun? Maa Itna Roti Hai,
Tasveer Tumhari Seeney Par Rakh, Na Khaati Na Soti Hai!
Sab Aatey Hain Ghar Par, Naam Tumhara Lete Hain,
Na Jaane Kyun Veh Mujhey Behlane Ko Kuch Dete Hain!Â
Nahin Jaanti Main Un Sabko, Veh Phir Bhi Hai Aayein,
Papa! Tum Jhoothey Ho,Â
Is Baar Bhi Nahin Aaye!
Janamdin Tha Kal Mera,Â
Uphaar Bhi Nahin Laye!
Nahin Karungi Baat Main Tumsey, Ab Jab Bhi Tum Ghar Aaogey,
Pehley Karo Yeh Wada Tum Mujhsey, Dhaeron Uphar Le Aaogey!
Veh Saena Waale Uncle, Abhi Hi Ghar Par Aayein Hain,Â
Main Daudi Bahar Yeh Socha, Woh Tumko Bhi Laye Hain!
Woh Kehtey Tum Shaheed Huye Ho, Aur Maa Ko Kuch Dete Hain,Â
Phir Meri Aankhein Pauchey, Aur Mushko Woh Bhetein Hain!
Tum Kitney Gandey Ho, Unkey Saath Bhi Nahin Aaye,
Papa! Tum Jhoothey Ho,Â
Is Baar Bhi Nahin Aaye!
Janamdin Tha Kal Mera,Â
Uphaar Bhi Nahin Laye!
Ab Toh Gudiya Bhi Poochey Hai, Kab Tak Tum Aaogey?
Kha Tha Tumney Uski Khatir Ik Gudda Laogey!
Nahin Sataungi Main Tumko, Ab To Jaldi Aao Tum,Â
Phoot-Phoot Kar Sab Ro Rahe, Aao Aur Shaant Krao Tum!Â
Nahin Karungi Ziddh Mein Ab Se, Jab Bhi Tum Aaogey,Â
Mujhey Pata Tum Meri Khatir Jaldi Aa Jaogey!
Papa! Tum Acche Ho,Â
Is Baar To Aa Jao
Janamdin To Beet Gaya,
Uphaar Nahin, Bas Aa Jao!
~Shubham Tripathi
I FOR HER’s humble request to all our readers:
We are no one to tell our army or our government how they should handle National Security.
We are no one to comment on the strategies to make sure that no Jawan comes back home wrapped in TRICOLOR.
The only thing as countrymen we can do is to find avenues to support families of these Jawans in whatever way possible.Â
Jai Hind!Â