In these tough times when everything has come to standstill, this beautiful poem about SUKOON is the must-watch.
In the modern, fast-paced world, we are raised to chase our dreams and desires. It is heartbreaking how we are trained to tie our happiness and mental peace to our achievements.
If you are one of those who keep going from one achievement to others in search of happiness, you would definitely relate to this beautiful poem – Sukoon Ki Talash Mai by Pallavi Mahajan.
Here’s the complete lyrics of the beautiful poem.
-1-
Sukoon ki talaash mein,
Sukoon ki talaash mein,
Tu phira idhar – udhar, tha magar,
Jhan chhipa, gayi nahin vhan nazar
-2-
Tu sochta raha yahi,
Tu sochta raha yahi,
Ki ik din, milega voh, jab milega sab tujhe,
Han tabhi dikhega voh tujhe
-3-
Tu chhod aaya ek shahar
Tu chhod aaya ek shahar
Tun chhod aaya ek gali, zindgi ke sang chala
Vo jidhar jidhar chali (pe ghar)
-4-
Ye nayi si thi jagah,
Ye nayi si thi jagah,
Aasma bhi tha naya,Tu uda
Bahut magar, phir zara sa thak gaya
-5-
Is udaan ne, tujhe tha yahan bahut diya
Is uddan ne,tujhe tha yahan bahut diya
Chahton ko pr teri naya makaan dikh gaya
-6-
Tun phir uda ye soch kar,
Tun phir uda ye soch kar,
ki jo talab bhi, Ab talak,
khatm hogi ye vahan, jahan dikhi hai jhalak
-7-
Lamba yeh safar raha ,
Lamba yeh safar raha
Honsla magar raha, Aa gaya nazar mein,
Woh jo dur se hi tha dikha
-8-
Ek shaksh tha vahan, fere apna munh khada
Ek shaksh tha vahan, fere apna munh khada
Uske pass voh sakoon, tujhe kabhi na jo mila
-9-
Tune usse ye kaha, tune usse ye kaha
Ki rasta kathin raha, Khush magar
Bahut hun main, mujhe sakoon hai mil gaya
-10-
Kyun andhera hai yahan,
Fere munh tu kyun khada
Chal sakun ko baant le,
Main admi nahi bura
-11-
Phir huyi jo roshni vahan,
Nahi tha koi bhi
Han magar tha aayna,
Tha aayne mein aks bhi
-12-
Voh aks tha tera vahan, Voh aks tera vahan
Jo tha sakoon liye khada,
Hans ke kahene ye laga
Main tujh mein hi sada raha
-13-
To ek insaan jiski umar gujri hai
Sakoon ki talashte hue bokhla jata hai
Khud se ye sawal karta hai
Kya voh mahaj junoon tha,
Kya voh mahaj junoon tha,
Kya pass mein sakoon tha
Kyun mujhe khabar na thi
Kya mujh mein hi tha yeh kanhi
-14-
Sakoon kaheta hai –
Kyun khud se itna lad raha,
Sakoon kaheta hai –
Kyun khud se itna lad raha,
Jo chaha tune pa liya,
Ab samajh ye baat tu,
Jo tujhse main kah raha
-15-
Duad mein yahan sabhi
Mujhe nahi talashte
Naam dete hai kayi
Khak par hai chhante
-16-
Main duad mein aaram hun,
Main khas na hun aam hun,
Har kisi mein hun,
Bas main phir bhi
Sab ka khvaab hun
-17-
Aankh mund tu abhi,
Khada hai tu jahan hua,
Muskara ke dhoondna,
main tujh mein bhi hun chhipa hua
-18-
Zindagi jab thi teri chahton mein thi ghiri
Tirgi mein tu raha, to main tujhe dikha nahi
To tirgi ko kaat de,
To tirgi ko kaat de
Tu roshni ke saath,
Ab sakoon ko khoj mat,
Hai kya sakoon ye jaan le.