Our society has a horrific obsession with beauty and sadly, women are its major victims. We are consistently being told that we’re too fat, too thin, too tall, too short and much more. In such a society, Nayab Midha’s inspiring poem on self-love and true beauty is a must-watch for every woman!
Tum Khoobsurat Ho
Tum Khubsurat Ho, Yeh baat khud se 100 dafaa kaho,
Chaltey waqt, Rukte waqt, Sote waqt, Jagte waqt ,
Uthte waqt, Baithte waqt, Khud ko aaine mein dekhte waqt,
Muskrate waqt , Har waqt, Dusron ki aankho mein apni jhalak dekhte waqt,
Bina kuch soche ki, woh tumhare bare mein kya soch raha hai?
Khud se bekhauf kaho ki tum khoobsurat ho!
Jali aankhon mein kajal dalne se pehale,
Apne sukhe chechare par safed rang lagane se pehale,
Kano ko jhumke ke tale dabaane se pehale,
Kamar ko 2 inch chote kapde mein kasne se pehale,
Usi chote kapde ko apni chhati mein dbane se pehale,
In hothon ko lal gulabi rang mein band karne se pehale,
Unhein kahene do ki tum khoobsurat ho!
Aur jab yeh baat, jhooth lage tab bhi kaho ki
koi dil lagi, koi zimedaari , koi afsaad ya koi bimaari raha hoga karan koi is rookhe badan ka
Aur is se khubsurat kya hi hoga ki roop ne khud se uppar dhyaan rakha ruh ka.
Toh yeh baat, yeh sach ek dafa khud se kaho ki tum khoobsurat ho!
Tab tak kaho jab tak yeh baat tumhaari jubaan se nikal tumhaare
Kaan tak pahuchne se pehale,
Tumahaare gaalon ko utha na de,
Tumahaare aankhon ke gadhon mein baith na jayein,
Tumahaare hothon ki karvate badal na de,
Tumahaare mathe ki silvate hata na jayein,
Tumahaare badan ke kan-kan ko bata na de,
Tumahaari rooh main jab tak yeh baat bas na jaye,
Tab tak kaho ki tum khoobsurat ho!
Aur jab bhi ,aur jab bhi koi is baat ko jhuthlana chahe,
Rang roop ke jhanse mein tumhe fasaana chahe,
Sharir ke aade-tede aakaar tumhe samjhana chahe.
Aree, aree tu muchhe kuyon nahi ugaata ,muchhe toh mardaangi hai.
Sach bata ghar mein jakar ladki toh nahi ban jaata.
Yeh, moti ho rahi ho, subeh tahelne kuyon nahi jaati,
rang toh dekho, dahi besan kuyon nahi lagati.
Yeh patli kamar ,20 ki chhati yeh 5 foot kad 6 ka dola
tu sach bata re tujhe mard kaun bola?
Aisi hazaron lakhon baton se tumhe har roz neeche dikhaya jata,
Main janti hun aisa sharirik majaak har roz udaya jata!
Magar agli dafa, magar agli dafa jab tumhe koi mahsus karaana chahe
Tumhe tumahaari hi najron mein giraana chahe!
Toh uske karib jana, muskaraana,
Hath thamana Ya peeth thap- thapana, aur use kahena
Meri jaan hum nahi jaante ki tumse kisi ne yeh kha hai ya nahi
Magar tum khoobsurat ho!
Meri jaan main nahi jaanati ki tumse tum sabhi se kisi ne yeh kha hai ya nahi
Magar tum khoobsurat ho!
Yeh baat khud se 100 dafaa kaho har waqt kaho aur kahate raho
Ki tum khoobsurat ho!