Javed Akhtar has a knack for healing our wounds and comforting our souls with his words. His simple words are so powerful that they can make you rethink love, life, heartbreak, sadness, and loneliness. Javed Akhtar through his beautiful poems and amazing shayaris have made us fallen in love with the Urdu language. He is one of the best poets of his time. His soul-stirring poems and shayaris have managed to touch the souls of people throughout generations.Â
Here are 10 selected powerful Javed Akhtar Poems and Shayaris that will touch your soul and will take you in a beautiful space.
-1-
Jab jab dard ka baadal Chaya, Jab gham ka saaya lehraya
Jab aansoo palkon tak aaya, Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya, Dil aakhir tu kyun rota hai,
Duniya mein yun hi hota hai.
-2-
Yeh jo gehra sannate hain, Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka kissa, Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai, Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai, Dil aakhir tu kyun rota hai.
-3-
Ab agar aao toh jane ke liye mat aana,
Sirf ehsaan jataane ke liye mat aana
Maine palakon pe tamannayein saja rakhi hain,
Dil mein ummeed ki sau shammein jala rakhi hain
Ye haseen shammein bujhane ke liye mat aana.
-4-
Jaate jaate woh mujhe, achchi nishani de gaya,
Umra bhar dauharaunga, aisi kahani de gaya
Uss se main kuchh pa saku, aisi kahan ummeed thi,
Gham bhi woh shayad, bara –ae- meharbani de gaya
Khair ,main pyasa raha, par usne itna toh kiya
Meri palkon ki kataaron ko woh pani de gaya
-5-
Kabhi yun bhi toh ho
Dariya ka sahil ho, poore chaand ki raat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi toh ho
Tanhai ho, dil ho, boondein ho, barsaat ho
Aur tum aao
-6-
Aaj maine apna fir sauda kiya
Aur fir main door se dekha kiya
Zindagi bhar mere kaam aaye asool,
Ek ek karke main unhe becha kiya.
-7-
Kyon darein zindagi mein kya hoga,
Kuch na hoga toh tazurba hoga
Hansti aankhon mein jhaank kar dekho,
Koi aansun kahin chupa hoga.
-8-
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum
Nazar mein khwabon ki
Bijliyaan leke chal rahe ho ,
Toh zinda ho tum
-9-
Dard apnaata hai paraye kaun,
Kaun suntan hai,aur sunaye kaun
Kaun dauhraye woh purani baat,
Gham abhi soya hai ,jagaye kaun
Aaj fir dil hai kuch udaas-udaas,
Dekhiye, aaj yaad aaye kaun
-10-
Yahi halaat ibtada se rahe,
Log humse khafa-khafa se rahe
Bewafa tum kabhi na the lekin ,
Yeh bhi sach hai ki bewafa-se raha
Aren’t they beautiful?
Don’t miss to read:Â
11 Best Gulzar Shayari & Poems On Love, Life & PainÂ
Piyush Mishra’s Beautiful Shayaris & Poems On Love & Life
Â