Urdu poetry is not for the faint-hearted. Urdu poems, Shayari, Urdu poetry, Nazm or Ghazals – everything is so beautiful!
The magical words of Urdu poetry have the power to seep into the hidden corners of the heart and evoke the right emotions. Urdu poetry/ Urdu poems have the magical power of pulling the absolutely right heartstrings to leave you emotional.
Here are a few selected Urdu poems / Urdu Poetry that touched our hearts and left us amazed and teary-eyed at the same time.
Jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga, Kuraydte ho jo ab raakkh, justjoo kya hai?
Sarayy raah jo unsaay nazarr mili, to naksh dil ke ubharr gaye,
Hum nazarr mila kar jhijhag gaye, woh najarr jhukaa kar chale gaye
Woh dard hi kya jo aankhon se beh jaaye,
Woh khushi hi kya jo hothon pe reh jaaye,
Kabhi toh samjho khaamoshi hamaari,
Woh baat hi kya jo asaani se alfaaz banjaaye
Dete hain kyun yeh dard bas hami ko,
Kya samjhenge woh in aankhon ki nami ko,
Laakhon sitaarey ho jis chaand ke,
Woh kya mehsoos karengey kisi ki kami ko
ALSO READ: 12 Heartwarming Piyush Mishra’s Quotes That Will Show What Paheli Life Is
Marne ki baat pe jo, rakhte the hontho pe ungliyan, Afsoos wahi meri zaat ke katil nikle
Kisi fakeer ki jholi main kuch sikke daale to yeh ahsass hua, Mahangai ke is daur main, duaayein aaj bhi sasti hain
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle, Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
Ishq nazuk mizaj hai behad,
Akl ka bojh utha nahin sakta
Hum toh fanaah ho gaye unki ankhein dekh kar Ghalib,
Naa jane woh aaina kaise dekhtey hongey
ALSO READ: 15 Beautiful Mirza Ghalib Shayari On Love & Life
Hathoon key lakiron pe matt jaa ae Ghalib, Naseeb unke bhi hote hain jinke haath nahin hote
Manzil milegi, bhatak kar hi sahi, Gumarah to wo hain, jo ghar se nikle hi nahin
Jinke paas sikke the wo mazze se bheegte rahe baarish mein,
Jinki jeb main note the, woh chhat talashte reh gaye!
Waqt ne kiya kya haseen sitam, Tum rahe na tum, hum rahe na hum
ALSO READ: Javed Akhtar Best Poems & Shayaris On Love, Life & Heartbreak
Kis kaam ki rahi ye dikhaave ki zindagi, Waade kiye kisi se, Guzaare kisi ke saath
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta, Kahin zameen toh kahin aasmaan nahin milta
Kitna khouff hota hai shaam ke andheroon mein, Pooch un parindon se jinke gharr nahin hotey
Yahan bikta hai sab kuch zara rehna sambhal ke,
Log hawa bhi bech dete hain, gubbare mein daal ke
Hope you enjoyed the beautiful Urdu poetry as much as we did.